Main kuch likhna chahta hun
Main kuch likhna chahta hun..
Zindagi ki daur ek char diwar he jisme main phas gaya hun,
yahan se nikalna chahta hun, udna chahta hun…
Is duniya ko kareeb se dekhna-parakhna chahta hun…
Ae maula itni shiddat aur taufique de..
Apni pyar bhari kalam se sabke dil me utarna chahta hun…
Main kuch likhna chahta hun….
Armaan to bahut hai kuch kar dikhane ka,
jasba to bahut hai un uchaiyon tak pahunch jane ka,
is kainaat ko kaise samjhaun ki waqt bahut hai…
soch samajh kar kadam barhana chahta hun,
man ki gahraiyon tak pahunch jana chahta hun….
Main kuch likhna chahta hun….
Shaitaan samaan kathinaiyon ke saamne main farishta bana masoom sa khada hun,
darta hun kahin toot na jaun, bikhar na jaun…
gir bhi gaya to kya main dobara uthna chahta hun,
apni manzil tak pahunch jana chahta hun…..
Ae Parmatma mujhe wo shakshiyat de….
Apni lekhan se hazaron chehron me pehchaan banana chahta hun….
Main kuch likhna chahta hun….
Zindagi bhi kya gazab khel khel jati hai,
ek ajab se more par hame akela chhod jati hai…
Is more se main bachna chahta hun,
bachpan ki anchal mein apna muh chipaye so jana chahta hun,
kuch sapne sajana chahta hun…
Ae Ishwar mere sapno ko tootne na de,
inhi sapno se ek ghar basana chahta hun…..
Main kuch likhna chahta hun….
Sardi ke mausam mein safalta diye jalaye aasma mein timtima rahi hai,
kuch ojhal hai to kuch nazar aa rahi hai,
jaise hame apne pas bula rahi hai……
Badalon ke ghirne se pehle untak pahunchna chahta hun,
us keemti diye ko apne hathon mein liye is zalim duniya ko dikhana chahta hun…
ki wakai mein…
Main kuch likhna chahta hun…..


By:- Imam Mudassir

Submit a Real Life Story
&
get Rs. 150 recharge* for your cell phone for free

Buy Exclusive and licenced produts
&
of superheroes and cartoon charactaers

Join Chagloo
&
be a part of exclusive commmunity of creative people